baithak

↑ Grab this Headline Animator

Sunday, July 03, 2011

sunta koee nahiN hay -draft i

baat sub kehtay haiN
sunta koee nahiN hay

beta/murd m'ra beemar hay
dawa kay paisay nahiN haiN babu


maaf karo, Allah shifa dekha

kaam nahiN, paisa nahiN
paani nahiN, bijli nahiN
qanoon nahiN, ummeed nahiN


yeh sub baataiN sunta hooN
......................................zaroor
(majboori hay)
laikin maiN tou ik musafir hooN
des des kay dukh
srif soon laita hooN
aur aagay chala jata hooN

may bhee bayhis hooN
.................................aap bhee
aur aapka, m'ra khuda bhee
..........................shayad

0 Comments:

Post a Comment

<< Home